What is UBER ? – उबर क्या है? पुरी जानकारी
Yaha is post me aapko UBER Cab Attachment se judi puri jaankari de jaayegi to dhyan se padhe.
Uber – ek ride sharing company hain jo San Francisco main 2009 main start hui thi. Uber ne india main apna business 2013 main start kara tha and aaj Uber Bharat ki ek pramukh ride sharing ya transportation company ban gayi hain.
Uber Cab Attachment ki service bharat main badi asani si aap apne smartphone ki madad se kar sakte hain. Aap kabhi bhi kisi bhi samay apne smart-phone ki madad se Car, Auto ya Bike book kar sakte hain. Iske alawa aap Uber connect ki madad se apne parcel bhi ek jagah se dusri jagah bhej sakte hain. Uber ki service main aap apni man pasand ride ke sath sath apne payment ka chayan bhi apne anukool kar sakte hain.
Uber aaj Bharat ke jayadatar sare city main available hain jsiki wajah se customer ko isse use karna and ride book karna ek tarah se bahot asan ho gaya hain. Jiski wajah se customer ko koi aur jagah apne transport problem ke liye jane ki jaroorat nahi hain. Uber ni Bharat ke customer ki choice ko dhayan main rakhte huie ismain kuch naye preference bhi add kare hain. Uber ne yatra ke sath apne customer ke sukhad anubhav, anukoolta and surksha ko bhi dhayn rakha hain.
Uber ne na keval Bharat main yatra karne ke anubhav ko badla hain sath sath main isne kamaye ke naye naye raste bhi khole hain. Aaj ham bat karne wale hain ke kaise koi driver uber ke sath apni car jod ka kaise kamay kar sakta hain.
Uber Cab Attachment process
Uber main Car jodne ka process bahot hi asan hain. Sabse pahele, Apke Uber India ki website par jana hain and Uske bad apko wahan par “Driver “ ya “Driver with car” wale option ko Select karna hoga. Iske bad apko apki detail submit karni hogi. Jaise ki apka nam , mobile number , apke driver licence ki detail. Apko ensure karna hoga ke apke pas ek valid Driver licnece hain jisse se aap bharat main kahi bhi car chala sake.
Uske baad, aapko apni car ki details jaise ki model, registration number, aur insurance information bhi provide karni hogi. Yadi aap apni cab ko khud drive karenge, to aapko apne personal details ke alawa apni driving history aur background details bhi deni hogi.
Uber cab attachment main sari detail sumbit karne ke bad Uber ki team phir aapke diye gaye details ko verify karega. Apke document check karne ke bad uber apke background ko bhi check karega – ismain criminal record ya traffic violation ki janch bhi shamil hogi. Jab Apka BGC check safalta purvak ho jayega uske bad aapko uber ke platform par active kar diya jayega. Apko proper training di jayegi – jisme aapko Uber ke policies aur customer service ke baare mein sikhaya jata hai. Ek baar training complete hone ke baad aap uber driver ki app par online hokar apna safar start kar sakte hain
Is process mein dhyan rakhna zaroori hai ki aap saare legal requirements aur safety standards ko poora karte hain, taki aap Uber platform par smoothly operate kar sakein.
Document Requirement for Uber Cab Attachment?
Uber Cab Attachment me driver banne ke liye Bharat mein kuch zaroori documents chahiye hote hain. Yeh documents safety aur legal compliance ke liye avashyak hote hain. Yahan kuch important documents hain:
- Driving License (DL): Aapko ek valid commercial driving license (DL) chahiye, jo taxi chalane ke liye manzoor hoon.
- Vehicle Registration Certificate (RC): Aapki cab ka registration certificate bhi hona chahiye, jo yatra karne ke liye anivarya hai.
- Vehicle Taxi Permit : Apki Cab ka Vehicle permit hona chahiye – ya ek jaroori Dastavej hain.
- Commercial Insurance: Uber Cab Attachment me Aapki cab ka commercial insurance hona zaroori hai. Yeh aapko aur aapke passengers ko surakshit rakhta hai.
- Aadhar Card: Aapke identity ko verify karne ke liye Aadhar card ki copy submit karni hoti hai.
- PAN Card:Income tax purposes ke liye, aapko PAN card ki copy bhi deni padti hai.
- Cancelled Cheque/Bank Passbook: Aapko apne bank account ka proof dikhane ke liye cancelled cheque bhi submit karna hota hai.
- Police Verification Certificate(optional):* Kuch cases mein, local police verification certificate bhi chahiye hota hai – Ye document optional hota hain.
In documents ko submit karke, Uber aapki details verify karta hai aur agar sab kuch thik hota hai, to aap Uber Cab Attachment karke driver ban sakte hain. Dhyan rahe ki har state ki specific rules alag ho sakti hain, isliye local regulations ka bhi dhyan rakhein.
Uber Driver – Benefits
Uber Cab attachment me Driver banne ke bahot hio fayde hain jiss main se kuch niche diye gaye hain.
- Flexible Timing – Uber driver main aap apne kam ke samay ko khud chun sakte hain. Aap apni marji ke hisab se din main kabhi bhi kam kar ke kamay kar sakte hain. Aap apne boss khud rahte hain. Isse aap apne personnel and vayavsayik jivan main balance rakhne main asani raheti hain
- No limit for income – Uber driver aapko kamay ke naye avsar pradan karta hain. Isse main driver ki aay ki koi sima nahi raheti hain. Wo apne marji ke hisab se jitna chahe utna samay de kar apni kamay badha sakta hain. Uber main apke ache performance ko dhayn main rakh ke company apke kamay badhane ke naye naye avsae deta hain incentive ke taur par.
- Driver Ratings – Uber main safar karne wale har grahak apne driver ko rating dene ka vikalap raheta hain. Iss feedback wali pranali se uber driver apne performance ko aur bahetar kar sakta hain and apne saflta main yogdan de sakta hain.
- Training – Uber apne driver ko training ke provide karta hain jisse wo company ki policy ko dhayna main rakhe and kaise customer ko bahetar service provide kare and surksha ke niyam ko dhayn main rakhe.
- Uber Cab attachment Support – Uber ka centrally ek call support system hain jo driver ko uske issue and query ke solution main madad karata hai.
Agar Aap ko Uber Cab Attachment karne ke liye koi bhi query ho toh, kripya aap hamse sampark kare.Hum yaha apki madad ke liye hain, aap Contact us main jake hame message bhi kar sakte hain. Aap hamare number par call karke ya whatsapp karke bhi madad pa sakte hain. Apki Madad karne main hame khushi hogi. DHANYAVAD!!!